maa jab apne hath se khilati
to dhire se uski ungali kaat lena
jab vo mujhe nehlaati to
khud se zyada use bigho dena
school ke liye tayar karti
to apni kitabein chhupa dena
aur chhodne jati to raaste mein
chocolate ke liye zid karna
kabhi baarish mein bheeg kar aana
to dant-te hue uska mujhe ponchhna
aur sardi ke dino mein chupke se
ghar ke bahar khelne jana.
aisi bahut si shararton se use satana.
par ab main bada ho gya hu
magar maa aisa nahi samajhti
isi liye har roz subah
pehla niwala apne hath se khilati hai
taki main kabhi to apne bachpan mein lautun
aur ek baar fir se uski ungali kaatun
par main chahte hue bhi aisa nahi karta
kyuki main janta hu ki use taklif hogi
vo niraash ho jati hai
aur agle din fir se
isi umeed se pehla niwala deti hai
ki shayad aaj main apne bachpan mein lautun.
P.S. - Happy Mothers' Day to all the mothers of the world. Our world is with you.