tanhayi ki gehri raat mein,
soch ki chadar ohdh kar,
sapno ke saagar mein doob kar,
rishton ke moti ikatthe karke,
jazbaaton ke dhaage mein piro kar,
sambhandhon ki mala bnayi to thi, lekin,
usme vishvas ki gaanth na baandh saka,
aur, shak ki sehar aate hi sare moti,
suraj ki kirno ki tarah bikhar gaye,
aur reh gaya to bas,
mere jazbaaton ka toota hua dhaaga,
aur mujse sawaal karte,
bikhre pade rishton ke moti.